1/11

Bina khal ka ek janwar, jis ke muh par hai bal rango ka wah bhojan karta, safed, nila ho ya laal?

2/11

Khatta magar rasila hun, upar se hara ya pila hun, meri khopdi kat ke pakdo, hatho me mujhko tum jakdo, laga dun mai ras ki dhar batao main kon hun?

3/11

Mere naam se rang kaha jata, sade teen akshar ka naam aata. mera fal khaya hai jata, sharbat me bhi kam aata?

4/11

Jab tum inhe jalao ye fut fut kar rone lag jaye, khush hote hai hum sab dekh, khatam hone par hum murjhaye?

5/11

Chaar akshar ka mera naam, timtim taare banaana kaam, shaadi, utsav ya tyohaar, sab jalayen baar-baar?

6/11

Ek gufa ke do rakhwale, dono lambe, dono kale, batao kya?

7/11

Ek wastu ko maine dekha, jis par hai dant. bina mukh ke bolkar, kare rasili bat?

8/11

Saman ki packing mein hoti hai aasani na galti na sadti, hai paryavarad ki pareshani?

9/11

Aysi konsi jagah hai, jahan bhot se log hote hai, lekin fir bhi har koi, apne aap ko akela hi mahsus karta hai?

10/11

Ek anokha pakshi dekha, nadi kinare rehta hai, Chonch sunehri jagmag karti, dum se paani peeta hai?

Answers

1. Brush

2. Nimbu

3. Orange .

4. Patakhe

5. fuljhadi

6. Munche

7.Harmonium

10. Diye ki Bati.

9. Exam hall .

8. Polythin

11/11