20+ Paheli In Hindi With Answer | पहेली हिंदी में उत्तर सहित | MindYourLogic paheli
MindYourLogic mein aapka swagat hai! Aaj hum laaye hain kuch paheli in hindi with answer jo aapke dimaag ko challenge karegi.ye 20 paheli in hindi with answer ko solve karke apka brain workout bhi hoga. Is post me kuch paheli easy hai kuch hard or sath inke answers bhi diye gaye hai. to chaliye start karte hai.
1. अपनों के ही घर ये जाये, तीन अक्षर का नाम बताये।
शुरू के दो अति हो जाये, अंतिम दो से तिथि बताये?
Apno ke hi ghar ye jaaye, teen akshar ka naam bataye.
Shuru ke do ati ho jaaye, antim do se tithi bataye?
Answer: अतिथि (Guest)
2. ऐसा क्या है?
जिसे हम छू तो नहीं सकते है,
पर देख सकते है?
Aisa kya hai?
Jise hum chhoo toh nahi sakte hai,
par dekh sakte hai?
Answer: सपना (Dream)
3. चार ड्राइवर एक सवारी,
उसके पीछे जनता भारी?
Char driver ek sawaari,
uske peeche janta bhaari?
Answer: मुर्दा (Dead person)
4. काली काली माँ लाल लाल बच्चे,
जिधर जाए माँ,
उधर जाए बच्चे?
Kali kali maa lal lal bacche,
jidhar jaaye maa,
udhar jaaye bacche?
Answer: रेलगाड़ी (Train)
3. वह कौन है, जो कितना भी बूढ़ा हो जाए पर फिर भी वह जवान ही रहता है?
Vah kaun hai, jo kitna bhi boodha ho jaaye par phir bhi vah jawan hi rehta hai?
Answer: सैनिक (Soldier)
4. ऐसा कौन सा फल है,
जो मिठास होने के बावजूद बाजार में नहीं बिकता?
Aisa kaun sa fal hai,
jo mithaas hone ke bawajood bazaar mein nahi bikta?
Answer: सब्र का फल(sabar ka fal)
5. चार कोने का नगर बना
चार कुंए बिन पानी
चोर 18 उसमे बैठ लिए
एक रानी , आया एक दरोगा
सबको पिट-पिट कर कुंए में डाला
बताओ में कौन?
Char kone ka nagar bana,
char kunwe bin paani.
Chor 18 usme baith liye,
ek rani, aaya ek daroga.
Sabko pit-pit kar kunwe mein daala,
batao mein kaun?
Answer: कैरम बोर्ड (Carrom board)
6. हाथ भी लकड़ी, पांव भी लकड़ी,
पेट बहुत ही गहरा, बताओ मैं कौन ?
Hath bhi lakdi, pair bhi lakdi,
pet bahut hi gehra, batao main kaun?
Answer: नाव (Boat)
7. इतनी नाजुक है ये चीज,
कुछ बोलते हो टूट जाएगी?
Itni najuk hai ye cheez,
kuch bolte ho toot jaayegi?
Answer: खामोशी (silence)
8. गला है पर सर नहीं,
बाहें है पर हाथ नहीं?
Gala hai par sar nahi,
baahen hai par haath nahi?
Answer: शर्ट (shirt)
9. जमीन में मरा दबा दो,
जिन्दा होकर बहार आऊंगा?
Zameen mein mara daba do,
zinda hokar bahar aaunga?
Answer: बीज (seed)
10. गले में आऊं तो ख़ुशी दे जाऊं,
खेल में आऊं तो दुखी कर जाऊं?
Gale mein aaun to khushi de jaun,
khel mein aaun to dukhi kar jaun?
Answer: हार (garland)
11. शंकर जी का हु माई पर्याय,
सबको मेरा रंग सुभाए।
मैं हूँ नभ पर खग काया,
कोई है जो मेरा नाम बताये?
Shankar ji ka hu mai paryay,
sabko mera rang subhaye.
Main hoon nabha par khag kaya,
koi hai jo mera naam bataye?
Answer: नीलकंठ (Neelkanth)
12.मै हु एक अनोखी रानी,
पैरों से पीती हु पानी?
Mai hu ek anokhi rani,
pairo se peeti hu paani?
Answer: लालटेन (lantern)
13. पक्षी नहीं है फिर भी आसमान में उड़ता हूं,
नदी नहीं है पर पानी से भरा है बताइए वह कौन है?
Pakshi nahi hai phir bhi aasman mein udta hoon,
nadi nahi hai par paani se bhara hoon, bataiye vah kaun hai?
Answer: आरी (saw)
14. कवर है काटो का, अंदर छुपाया है अंडा
सभी बडे चाव से खाते, क्या मुल्ला क्या पंडा?
Kavar hai kaato ka, andar chhupaya hai anda,
sabhi bade chav se khaate, kya mulla kya panda?
Answer: लीची (litchi)
15. ऐसा क्या है,
कमर बांध कौन में पड़ी,
बड़ी सवेरे अब है खड़ी?
Aisa kya hai,
kamar baandh kaun mein padi,
badi savere ab hai khadi?
Answer: झाड़ू (Broom)
16. ऐसा क्या है, छोटा सा धागा,
सारी बात ले भागा?
Aisa kya hai, chhota sa dhaaga,
saari baat le bhaga?
Answer: टेलीफोन (telephone)
17. छोटा हूं पर बड़ा कहलाता हूं ,
दही के तालाब में दिनभर नहाऊं |
बताओ मेरा नाम?
Chhota hoon par bada kaha jaata hoon,
dahi ke taalab mein dinbhar nahata hoon.
Batao mera naam?
Answer: दही बड़ा (Dahi bada)
18. ऐसी कौन सी चीज है जिसके हाथ पैर नहीं हैं फिर भी वह चढ़ती भी है और उतरती भी है?
Aisi kaun si cheez hai jiske haath pair nahi hain, phir bhi vah chadhti bhi hai aur utarti bhi hai?
Answer: शराब(drink)
19. ऐसी कौन सी ड्रेस है जिसे हम पहन नहीं सकते?
Aisi kaun si dress hai jise hum pehan nahi sakte?
Answer: एड्रेस (Address)
20. खड़ी करो तो गिर पड़े, दौड़ी मीलों जाए।
नाम बता दो इसका, जो तुम्हें हमें मंजिल तक पहुंचाए?
Khadi karo toh gir padhe, daudi milon jaaye.
Naam bata do iska, jo tumhein humein manzil tak pahunchaye?
Answer: साइकिल (Bicycle)