20+ Paheli With Answer | पहेली उत्तर सहित | MindYourLogic Paheli
MindYourLogic laya hai aapke liye paheli with answer. Yahaan 20 paheli ka collection hai inme kuch paheli saral hai to kuch kathin paheli hai, jinke answers bhi diye gaye hai. Ye paheli with answer ko solve karke aapko interest ayega aur aapka IQ test bhi hoga. Kya aap ye paheli with answer ke challenge ko accept karne ke liye taiyaar hain? To chaliye, shuru karte hain!
1. कान मोड़ो तो मैं पानी दूँगा,
इसका मैं कोई दाम भी नहीं लूगा?
Kaan mordo toh main paani doonga,
iska main koi daam bhi nahi loonga?
Answer: नल (Tap)
2. यह हमको देती आराम, यह ऊंची तो ऊँचा नाम।
बड़े-बड़े लोगो को देखा, इसके लिए होता संग्राम?
Yeh hamko deti aaram, yeh unchi toh uncha naam.
Bade-bade logo ko dekha,iske liye hota sangram?
Answer: कुर्सी (chair)
3. बोलने के लिए इतने शब्द है पर फिर भी बोल नहीं पाता हूँ?
Bolne ke liye itne shabd hain par phir bhi bol nahiin pata hoon?
Answer: किताब (Book)
4. इस्तेमाल करने से घिस जाती हूँ,
गोल गोल घुमाने से फिर बढ़ जाती हूँ?
Istemaal karne se ghis jaati hoon,
gol-gol ghumaane se phir badh jaati hoon?
Answer: पेंसिल (pencil)
5. गन्दा हूँ तो सफ़ेद,
सांफ हूँ तो काला,
कौन हूं मैं?
Ganda hoon toh safed,
saanf hoon toh kaala,
kaun hoon main?
Answer: ब्लैकबोर्ड (Blackboard)
6. तुम्हारे बोलने पे ही बजता हूँ,
पर फिर ना जाने मेरे बजने से क्यों परेशान होते हो तुम?
Tumhare bolne pe hi bajta hoon,
par phir na jaane mere bajne se kyun pareshaan hote ho tum?
Answer: अलार्म (Alarm)
7.कौनसी जगह है,जो ढेर सारे किस्सों और कहानियों के लिए जानी जाती है?
Kaunsi jagah hai, jo dher saare kisso aur kahaniyon ke liye jaani jaati hai?
Answer: लाइब्रेरी / पुस्तकालय (library)
8. रात का शहंशाह हूँ मैं,
पेड़ों पर लटकता हूँ मैं,
बताऊँ कौन हूँ मैं ?
Raat ka shahanshah hoon main,
pedon par latkata hoon main,
bataun kaun hoon main?
Answer: चमगादड़ (Bat)
9. सीढ़ी के ऊपर भी जाता हूँ,
सीढ़ी के नीचे भी आता हूँ,
पर अपने जगह से हिलता नहीं हूँ?
Sidi ke upar bhi jaata hoon,
sidi ke neeche bhi aata hoon,
par apne jagah se hilta nahi hoon?
Answer: रेलिंग (railing)
10. मैं सवाल नहीं पूछता,
फिर भी लोग मुझे जवाब देते रहते हैं?
Main sawaal nahiin poochta,
phir bhi log mujhe jawaab dete rahte hain?
Answer: फ़ोन कॉल (phone call)
11. वो कौन-सा महिना हैं,
जिसमें लोग सबसे कम सोते हैं?
Vo kaun-sa mahina hai,
jisme log sabse kam sote hain?
Answer: फरवरी (February)
12. ऐसी कौन-सी चीज हैं,
जो दिन-रात चलती रहती हैं।
Aisi konsi chiz hai,
jo din raat chakti rahti hai?
Answer: नदी (River)
13. ऐसा कौन-सा पेड़ है,
जिस पर हम चढ़ नहीं सकते?
Aisa konsa tree hai,
jispar hum chad nahi sakte?
Answer: केले का पेड़ (Banana tree)
14. छोटा- सा है उसका पेट, लेता सारा जगत समेट ।
चार अक्षर का उसका नाम, कहानी कविता भी करता हमको भेंट?
Chhota-sa hai uska pet, leta saara jagat samet.
Chaar akshar ka uska naam, kahani kavita bhi karta hamko bheent?
Answer: अखबार (Newspaper)
15. नाम उसका उल्टा- सीधा एक समान, न्याय दिलाना उसका काम।
सही करे या गलत निर्णय, पर सब करते उसका सम्मान?
Naam uska ulta-sidha ek samaan, nyay dilana uska kaam.
Sahi kare ya galat nirnay, par sab karte uska sammaan?
Answer: जज (Judge)
16. दो भाई हैं एक ही रंग के, गहरा उनका नाता।
एक खो गया मेले में, तो दूसरा भी काम न आता।
Do bhai hain ek hi rang ke, gehra unka naata.
Ek kho gaya mele mein, toh doosra bhi kaam na aata?
Answer: जूता (shoe)
17. ऐसी कौन – सी चीज है,
जिसको जितना खींचा जाता है,
वो उतनी हीं छोटी होती जाती है?
Aisi kaun-si cheez hai,,
Jisko jitna khincha jaata hai,
Woh utni hi chhoti hoti jaati hai.
Answer: सिगरेट (Cigarette)
18. ऊँट की बैठक, हिरन की चाल,
बोलो वह कौन है पहलवान?
Oont ki baithak,
hiran ki chaal,
Bolo vah kaun hai pehlwan?
Answer: मेढ़क(frog)
19.लोहा खींचू ऐसी ताकत है, पर रबड़ मुझे हराता है ।
खोई सूई मैं पा लेता हूँ, मेरा खेल निराला है?
Loha kheenchu aisi taakat hai, par rubber mujhe harata hai.
Khoi sui main paa leta hoon, mera khel niraala hai?
Answer: चुंबक (Magnet)
20. पत्थर पर पत्थर, पत्थर पर पैसा ।
बिना पानी के घर बनाए, वह कारीगर कैसा?
Patthar par patthar, patthar par paisa.
Bina paani ke ghar banaye, vah kariigar kaisa?
Answer: मकड़ी (Spider)