40+ Maths Paheliyan To Challenge Your Mind | MindYourLogic maths paheliyan
Yahaan hum lekar aaye hain 40+ Maths paheliyan. In paheliyon ka solve karna not only fun hai, balki aapko bhi kuch naya sikhne ko milega. Ye Maths paheliyan solve karke apki maths skills strong hogi or apko kafi maza bhi ayega. Yahan kuch paheliyan hard hai or kuch easy or sath hi har paheli ke answers diye huye hai. To ky ap taiyaar hai ye maths paheliyan solve karne ke liye?
1. Main wo number hoon, jo pair ki ungliyon k numbers se 5 jada hai. Batao main kya hoon?
Answer: 15
2. Main 8 se kam hoon, lekin 5 se zyada hoon. Main left hand ki ungliyon se bhi ek zyada hoon. Batao main kya hoon?
Answer: 6
3. 31, 33, 13 aur 103 mein se sabse chhota number kaun sa hai?
Answer: 13
4. Maths ke english word 'MATHEMATICS' mein kitne akshar hain?
Answer: 11
5. Ram ke paas ek week ke din ke baraabar chocklates hain. Batao Ram ke paas kul kitni chocklates hain?
Answer: 7
6. 1 se 100 tak ki ginti ke beech kitne baar number 8 aata hai?
Answer: 20 baar
7. Agar ek pen ki keemat 5 rupees hai, toh 3 pens khareedne mein kitna kharcha hoga?
Answer: 15 rupees
8. Ek dada, do pita aur do bete ek saath movie theater gaye aur sabne ek-ek movie ticket khareeda. Unhone kul kitne tickets kharide?
Answer: 3 (Dada bhi pita hai aur pita bhi beta hai).
9. Meri age meri beti se char guna hai. 20 saal mein meri umr usse duguni ho jaayegi. Abhi humaari umr kitni hai?
Answer: Main 40 saal ka hoon aur meri beti 10 saal ki hai.
10. Kya aap 8-8 likh sakte hain taaki unka total 1000 ho jaaye?
Answer: 888 + 88 + 8 + 8 + 8 = 1000.
11. 81 x 9 = 801. Is equation ko sahi banane ke liye aapko kya karna hoga?
Answer: Number ko ulta karna hoga. 108 = 6 x 18.
12. Is pattern mein agla number kya hoga 2, 3, 5, 8, 13, ...?
Answer: 21
13. Yadi 4 chairs 4 aadmi chaar ghante mein bana sakte hain, toh 8 aadmi 8 ghante mein kitni chairs bana sakte hain?
Answer: 16 chairs
14. 1 rs mein aapko 40 banana milte hain. 3 rs mein 1 mango milta hai. 5 rs mein 1 apple milta hai.
Toh aap kitne apple, banana, aur mango kharidenge ki 100 rs mein ye 100 fruits mil jaayein?
Answer: 19 apple = 95 rs
1 mango = 3 rs
80 banana = 2 rs
15. Aysa konsa number hai jo sirf badta hai kabhi kam nh hota
Answer: Apki age
16. 5 monkeys ko 5 banana khane mein 5 minute ka time lagta hai, toh batao 4 monkeys ko 4 banana khane mein kitna time lagega?
Answer: 4 minutes
17. 73 ke bad next odd number kon sa hota hai?
Answer: 75
18. 6 ko kitni baar add kare ki 66 aa jaaye?
Answer: 11 baar
19. Vah kaunsa number hai, jo 500 se bada hai, lekin 502 se chhota hai?
Answer: 501
20. Inmein se ADD ka sign kya hai, +, =, -, ya x?
Answer: +
21. Sabse chhoti sum number kaun sa hai?
Answer: 0
22. Ek tokri mein 2 orange aur 6 apple hain. Batao us tokri mein kul kitne fruits hain?
Answer: 8, kyun ki 6 + 2 = 8
23.106 mein kitne 0 hote hain?
Answer: 1
24. Agar kisi ne 1 tarbooj, 2 orange, 3 apple, 2 tarbooj aur 5 kiwi khareeda hai, toh uske paas kul kitne tarbooj honge?
Answer: 3
25. In mein se kaunsa number sabse chhota hai – 69, 19, 9, ya 99?
Answer: 9
26. Yadi aap 5 mein 9 add karege toh aapko 2 kaise milega?
Answer: Subah 9 baje mein 5 ghante karte hai toh dopahar 2 baje milenge.
27.18? 12? 4? 5 = 59 ?
Ke jagah par maths ke vo sign use kro jisse ye equation sai hojaye.
Answer18 x 12 ÷ 4 + 5 = 59
28.Agar kisi ke paas 370 eggs hain aur aapne unmein se 37 eggs le liye to aapke paas kitne eggs honge?
Answer: Aap kisi se jitna eggs loge, utne hi eggs aapke paas honge.
29. Konse number ko Roman numbers mein show nahin kiya ja sakta hai?
Answer: 0 (Roman numbers me 0 ki koi value nahi hai).
30. Jab Lucy 3 saal ki thi tab Lisa 6 saal ki thi. Lisa ab 60 saal ki hai. Lucy ki age kitni hai?
Answer: 57! Lucy, Lisa se sirf teen saal chhoti hai.